Ek sawal
Ye jo bar bar khiche chale ate ho tum Un ginti ki yaadon ke pas Bina kisi mansube ke Aksar na jante hue bhi jab fir se rubaru ho jate ho Tum un ginti ki yaadon se Kabhi socha hai aisa kyu karte ho tum? Badi ajeeb si hai ye tumhari kuch aadatein Aksar Raton ko jab sab apne ghar ke andar so rahe hote hain Ek Anjani si talab si uthti hai tumhare andar Aur nikal padte ho tum us rat ke agosh me Akele, tanha se, tehlte hue Un galiyon me jaha par sangat ke lie hota hai chand Aur ek sukoon se bhari hui thandi purvai Aur hota hai sannata, isi ki talash me nikalte ho na tum? Kabhi socha hai magar aisa kyu karte ho tum? Aise to bada shauk hai tumhe Apne ghar ko sajane ka Kai nai si cheezein khareed ke late ho Kabhi sandali ki khusbhu wali agarbatti To kabhi Buddha ke chehre wali wo peeli light Har ek nayi koshish us ek kone ko dhundhne ki Jaha tumhara Dil Sambhal jae Jise tum apna chota sa khud ka kona keh sako Fir chahe waha gadda bichakar ya zameen par hi let jao Aur kabhi man kare t